Monday, 17 December 2012

KYUN.......

Uthe uthe angaare yu aag me hi kyu
kyu water me aisa hota nai
uthe uthe birds saare subah hi kyu
raat me koi uthta kyu nai

sky itna bda hai kyu
moon usme pda kankad lgata hai kyu
sun hi dhoop kyu phekta earth pe hai
moon aisa krta nai kyu
baarish girti upar se hi kyu
niche se upar jaati nai kyu

dhunda dhunda jag me har why ka pta
dhudne pe haasil kuch hua nai
nature ne baati jo hai
smiling ki vjah yai

kyon taara yu toot jata hai
toote hurt ka bhi bura haal ho jaata hai
kyon bola jaata hai milne me chupi khushi
to bichadne me chupa dukh kyu

kyu kuch rich, bahut poor hai
kyu kuch poor, bahut rich nai
kyu red light pe rukna hota hai
green pe kyu ruk skte nai

kyu jeene ke baad aati maut hai
pehle maut fir jeena kyu nai
bhudape se bchpana kyu nai
dukh me hasna, khushi me rona kyu nai

kyu water se bhujti pyas aur food se bharta pait hai
agar food se bhujti pyaas aur water se bharta pait
gate ko bolte window agar
or window ko bolte jo gate

saari baatein apne me ek matlab liye bethi hai
chote mote jharno se lekar ocean tak faili hai
potato tomato ye naam kisi ne to rakha hoga
aise sawalo ka na marte dam tak aant hoga

meetha meetha ganne ka ras hi kyu
nibu paani kyu nai
khatta khatta pickle hi kyu
kyu bas water coconut me hi, water melon me kyu nai

dhunda dhunda jag me har why ka pta
dhudne pe haasil kuch hua nai
nature ne baati jo hai
smiling ki vjah yai

nature ne baati jo h
smiling ki vjah yai


No comments:

Post a Comment