haatho ki lakeere mai samjh nai paa raha
ghut ghut ke kyu jee raha hu smjh nai aa raha
ankho se niklna chahte hai aansu
kyu unhe nikalne ka rasta nazar nai aa raha
ghut ghut ke kyu jee raha hu smjh nai aa raha
rota hai mann har raat kyu
dhundla sa jeevan hai ab lagne lga
me usme khota jaa raha hu
kyu khud ko rok nai paa raha hu
mai darr jaata hu papa ki ankho me dekh ke
ki mera beta kuch karke dikhaega
me darr jata hu maa ke us khilae nivaale se
ki baad me sukh ki roti ye hme khilaega
mai hasata hu, logo ka mann beh lata hu
koi mjhe kyu nai hasa paa raha
Ghut ghut ke kyu jee raha hu
samjh nai aa raha
log kehte hai khuda ko yaad kro
mai nai kar pata hu, nai unse jud paata hu
log kehte h unke bina kuch nai hai
mai phir dar jaata hu
mera mann nai hai jeene ka
me marne se katraata hu
meri maa ke us haste chehre ko dkh
me dar jata hu
shor mat kro
mjhe dar lagta hai
shanti se jeene do
itne bhoj ke sth kse koi smbhalta hai
kyu me pal pal ye soch raha hu mera kya hoga
ye dil bhi ab jawaab nai deta
kyu me pal pal sochta hu kya me kuch kar paunga
mra zameer bhi ab jawab nai deta
kyu har lamha mjhe is tarah sata raha hai
Ghut ghut ke kyu jee raha hu samajh nai aa raha
Sona chahta hu
neend nai aati
uthna chahta hu
neend hai satati
dor si ban gai hai meri zindgi
suljhane niklta hu
aur uljh jaati hai
sidha rasta lgti hai zindgi
jb nikal padta hu to
mod se bhari itraati hai zindgi
dosto k mazak mai
vo sham ki mulaqaat me
bhul jata hu sb gam
us hassi ki saugaad me
seham jaata hu lekin phir raat hote hi
lekin kyu ye samajh nai aata hai
kyu ye darr palta jaa raha hai
ek gande saaye ki tarah khalta ja raha hai
mai logo ko jeena seekha ke
khud nai has paa raha
ghut ghut ke kyu jee raha hu smjh nai aa raha
kyu me marta jaa raha hu samjh nai aa raha
maut se bhi lgta hai darr
aur jeene me ab maza nai aa raha
ghut ghut ke kyu jee raha hu
samjh nai aa raha
samjh nai aa raha
No comments:
Post a Comment