Wednesday, 3 April 2013

Its all about four words !!

Kabhi kabhi zindgi kitni khubsurat lagti hai na
Jb jaib me khule paiso ki jagah note bhre ho
Hath me niche girey tinko ki jagah
Mehnga sa koi touch screen phone ho
kaha gae vo din jb nikar me khelte hue gir jaate the or bolte the
Agr jeans hoti to kam chot lagti
Kitni haseen lagti hai na kabhi kabhi zindgi
jab har ghadi koi tmhari baat sunta rahe
Tum kehte raho
Suhani hawa chalti rahe
Aur tm paani ki tarah behte raho
Kabhi kabhi dam bhi to ghut ta hai
Jab hmpe rok lg jaati hai
Tab yai zubaan se nikalta hai
Hme zindgi jeene do
Paani ki jagah hme coke peene do
bahut kha lia ghr pe khana
Kfc k burger chakne do

kitna acha lagta hai na jiska lunch box ho
Vai tmse ek paratha mangta firey
Us hassi ka mol to khuda bhi ni lga skta
Jb koi apna hi cycle ya bike se apno k beech girey
Kitni haseen lagti hai na zindgi
Baarish ke us mausam me jb
Dip kiya hua biscuit chai me, muh me jata hai
tb jo sukun milta hai
kaha tab jannat ka dhyaan aata hai

Kabhi kabhi bahut hi pyaari lagti h jindgi
Sar par boards k paper ho
Aur night out ka plan bn jata hai
Fr ussi paper me grace se pass ho jae to
us baat ko topic bnane ka har baar mauka mil jaata hai

Dost ki bndi ki khubsurti pe pehle dhyan jaata hai
Us time aya hua apni hi bndi ka call ptani kb mis call bn jaata hai
Bdi haseen lagti hai yaar zindgi yaaro ke beech
bas gussa sa tab aata hai
Ki ek din sb apni vahi zindgi me lag jaenge
Jisse aj dkh ke hm kehte hai
Abey inhe kya khaak zindgi jeena aata hai ?

No comments:

Post a Comment