Saturday 20 April 2013

Azadi ki azadi ke liye !!!!

Humne jalna seekha hai iss desh mai
humne manga sarkar se  paani tha
vo giri humpe ghee banke
aa nochle hme jab tak tera jee nai bharta
kyu darna ab bhooto se
jb hume mile insaan hi aise
ke jo kam nai bhooto se

humne laddke desh azaad kiya
jaha ab laddke khudko ek dusre se azad karana chahte hai
ye ladai teri ya meri nai
ye ladai hai
azadi ki azadi k liye

katra katra yaha sadko pe milega khoon ka
jo ronda ussi insaan ne hai
khud jalne se lgta hai darr
dusro ke jalne ka tamasha bnate hai

kis duniya mai ye reet hai
tu paapi hai to teri jeet hai
mukaddar likhva ke tu kuch bhi laya ho
jaha kadam pda is desh mai
tu dheet, to ye dunia maha dheet hai

madari ke dum pe hme nachaya jata hai
na chla tu kehne pe uske
to tjhe damru ki tarah bajaya jata hai
arey jis dunia me ek bcchi ki kimat 2000 rakh di ho
kaha tu fr vaade unke mann me maa saraswati k naam japne ke jatata hai

ye ladai teri ya meri nai
ye ladai hai
azadi ki azadi k liye

dharm ke naam pe dhanda
jara sa ladkhadaya to tu andha
paap ki gulak bharni hai yaha
gunaho ki nadiya bharni hai yaha
jiski sunvai ho jae vo kismat wala
varna pathar ko tu seene se lga
saare khwaab heere paane ke jala
ye desh hai murdo ka jaalim
na is desh me awaz madad ki lga
tu dharna hai is desh ke liye
pista rahega, jalta rahega
hun uth ja bandeya
bas kar na vekh tamasha
aisa hota aya hai
aisa hi hota rahega

ab ye ladai khatam hogi
tab
jab khatam honge andar bethe vo log
jis din khatam ho gye vo log
tab hoga ye desh azad
tab hogi har ladki abaad
tab hogi vo chehal pehal vaali raat
tab hoga ye desh azad
tab hoga ye desh azad
tb tak ye ladai teri ya meri nai
ye ladai hai
azadi ki azadi ke liye

No comments:

Post a Comment